Pages

Sunday, April 26, 2009

WOH Bidu Log yaad aatey hain...!!!


WOH Bidu log yaad aatey hain….
apne bidu log yaad aatey hain..
woh beetey lamhe yaad aatey hain..
chal pade they jahan mann hua..
woh raah woh rastey yaad aatey hain…

woh kitabon ka chipana yahan wahan..
woh cinemaghar yaad aatey hain…

woh beer ka pahla ghoont humara..
woh doston me botal ghumana…
phir yahan wahan sab kuch girana..
woh botal ke tootne par matam manana..
woh hasi ka chootna..
woh toota hua ghutna..
woh doston ka haath pakad ke chalna…
khud ko sambhalna..doosron ko girana..
woh chakhna woh khastey yaad aatey hain..
woh raah woh rastey yaad aatey hain..

woh ghar par roz dant ka khana..
woh daily daily same bahana..
woh chup chup ke aana jana…
pakde jane par sans ka ruk jana..
woh har ladki par dil ka ana..
chori ke paison se gift dilana..
roz naye kapdon ki zid
doston ke beech style jamana..
woh nike ka shoes..levi ki jeans..
woh roz roz showroom me jana..
woh gali ka cricket ..patang udana..
woh kitabon se bharey bastey yaad aatey hain..
woh raah woh rastey yaad aatey hain..

woh zindagi ka pahla sutta…
dad ki pocket se marna chutta..
ek hi sutta sabko tha peena..
kisi ne toda kisi ne cheena..
apni choti si duniya wahi tha jeena..
khud ko samajhna BOND-007…
woh chalna hamesha fula ke seena..
woh hero ko hamesha dena gali..
actress me to bas actress kareena
yaad me jiski koye they hum..
kayi raat nahi soye they hum..
woh phool woh guldastey yaad aatey hain..
woh raah woh rastey yaad aatey hain….

choti si dant pe moti girana..
phir joker banke sabko hasana..
woh doston se haath milana..
woh bandiyon ko gale se lagana..
samne se baar baar guzar ke jana..
phir doston ka naam leke bulana..
woh cute si smile…
woh jhoot si style..
woh subah shaam auntiyon ko namastey yaad aatey hain.
Woh raah woh rastey yaad aatey hain..

Aaj akela hun sab bichad gaye..
Woh lamhe yaad aatey hain..
Apne bidu log yaad aatey hain.
Woh chehrey hastey yaad aatey hain..
Woh raah woh rastey yaad aatey hain….

---------aapka ahmad---------

No comments:

Post a Comment