Pages

Sunday, April 26, 2009


Itni samajh kahan…..

Itni samajh kahan thi ke izhaar kar deta..
uske saamne dil ke tar tar kar deta..
mang ke dekha hota ek baar kuch..
dil kya jaan bhi nisaar kar deta..

kahna hai bahut tumse sunna bhi chahta hoon,
yaad karta hoon roz tumko,yaad aana bhi chahta hoon..
chup hoon ki tumpar koyi ungli na uth jaye..
verna kabka apne pyaar ka ishtehaar kar deta...
Itni samajh kahan thi ke izhaar kar deta..

Main bhi kisi se dil lagana chahta hoon,
Chirago ki jagah ghar jalana chahta hoon.
Pyaar karna gar khata hai to khata hi sahi..
Kash woh bhi yeh khata ek baar kar deta..
Itni samajh kahan thi ke izhaar kar deta..

Apni duniya me tumko le jana chahta hoon,
Chand taron se milwana chahta hoon,
Tere chehrey pe ek massarrat ke liye..
Kash pyaar ki batien jhooti hazaar kar deta…
Itni samajh kahan thi ke izhaar kar deta..

Unn nigaho main doob jana chahta hoon,
Unko bhi yaad khoob aana chahta hoon,
Milne aatey gar woh akhiri hi waqt…
Bas abhi ek khanjar dil ke paar kar deta..
Itni samajh kahan thi ke izhaar kar deta..

Jhooti muhabbat ka bharam rakhna chahta hoon,
Dil ke aayine main ek sanam rakhna chahta hoon,
Uske dil main jagah pane ke liye ‘ahmad’
Kambaqt Jhootey wade hi do chaar kar deta…
Itni samajh kahan thi ke izhaar kar deta..

-------ahmad-------

No comments:

Post a Comment