Pages

Sunday, April 26, 2009

bhool jata hun........

Bhool jata hoon…..

Tumhara naam likh likh kar mitana bhool jata hoon
Tumhein jab yaad karta hoon bhulana bhool jata hoon..
Bahut si aisi batien hain jo mere dil me rahti hain..
Magar jab tumse milta hoon sunana bhool jata hoon..
Tumhare baad abb har pal badi mushkil se katta hai..
Main aksar tumko khuwabo me batana bhool jata hoon..
Main har shaam kahta hoon ke tumko bhool jaunga..
Magar jab subah hoti hai..iraada bhool jata hoon..

Bahut roya hoon… ghum bahut mile hain tumse..
Magar jab paas aati ho jatana bhool jata hoon..
Tumhare hisse ke aansun bhi main hi rota hoon..
Magar jab poochti ho tum..dikhana bhool jata hoon..

Badi mushkil se socha tha ki abb na aaunga milne..
Magar jab bhi bulati ho… bahana bhool jata hoon..
Saamne ho tum to duniya gair lagti hai..
Satake khud ko aksar... manana bhool jata hoon…

Soch kar tujhko main….. ghar se yun nikalta hoon..
Main aksar yaad me teri ghar aana bhool jata hoon..
Raho khush hamesha tum yahi armaan dil ka hai…
Rulake khud ko aksar…. hasana bhool jata hoon..

Na jane kuan sa kagaz yeh mere ghar me faila hai..
Likta hoon roz tumko khat...jalana bhool jata hoon..
Wahi pahchaan wahi ahmad wahi dastoorey duniya hai..
Magar jab tum se milta hoon zamana bhool jata hun…

---------- ahmad ---------


No comments:

Post a Comment