Pages

Wednesday, August 25, 2010

Yuheen besabab ……

Yuheen besabab na fira karo...

Kabhi kabhi mujhse mila karo...

Ishq ki khumari chayi hai tumpe...

Sambhal sambhal ke chala karo...

Yuheen besabab na fira karo...


Pyaar ka pahla khat hai mera...

Isse chupke chupke padha karo...

Kabhi kabhi mujhse mila karo...

Yuheen besabab na fira karo...


Kuch dil ki batien humse karlo...

Kuch toe shikve gila karo...

Kabhi kabhi humse mila karo...

Yuheen besabab na fira karo...


Teri taraf chalun main thoda...

Thoda tum bhi chala karo...

Kabhi kabhi mujhse mila karo...

Yuheen besabab na fira karo...


Dil ki batien dil se na ho...

Ankhon se toe kiya karo...

Kabhi kabhi mujhse mila karo...

Yuheen besabab na fira karo...


Yaad karun aur tu aa jaye...

Kuch aisa jaadu kiya karo...

Kabhi kabhi mujhse mila karo...

Yuheen besabab na fira karo...

----------ahmad----------

No comments:

Post a Comment