Pages

Wednesday, August 25, 2010

Indradhanush...

Badal se nikal kar pani me girta hai...

Aie indradhanush tu awara kyun firta hai...


Pal me aata hai aur bhaag jata hai...

Mujhe bata tu itna kyun darta hai...

Aie indradhanush tu awara kyun firta hai...


Aata hai tu, jab barsaat hoti hai...

Mujhe pata hai tu barish pe marta hai...

Aie indradhanush tu awara kyun firta hai...


Kitne rang hain tere paas mujhe hoti hai jalan...

Kitna pyaar hai tujhe barish se mujhe hoti hai chubhan...

Itna pyaar kaun yahan karta hai...

Aie indradhanush tu awara kyun firta hai...


Asmaan na sahi samunder na sahi...

Tu kisi ke dil ka sikander na sahi...

Tera naseeb hai acha pani se to milta hai...

Aie indradhanush tu awara kyun firta hai...


Pani ke jahazo pe basera tera...

Gharon ke upar hota hai savera tera..

Kitna roshan kitna khushhaal dikhta hai...

Aie indradhanush tu awara kyun firta hai...


Dekhtey hain bache tujhe uchal uchal kar...

Tu bhi aata hai badal garaj garaj kar...

Bin mange sabko rang deta hai...

Aie indradhanush tu awara kyun firta hai...


Badal se nikal kar pani me girta hai...

Aie indradhanush tu awara kyun firta hai...

----------ahmad----------

1 comment:

  1. khada hua tha pani ke kinare...rainbow ko nikaltey dekha..toe yeh khyaal aaya..!!!!

    ReplyDelete