Pages

Wednesday, August 25, 2010

Mere Kareeb Na Aao……

Mere kareeb na aao ke darr lagta hai…

Bada mushkil yeh zindagi ka safar lagta hai…


Mere pass tujhe dene ke liye kuch bhi nahi…

Tera pyaar hai ek khayaal hai aur kuch bhi nahi…

Tere sawaalon se abb darr lagta hai…

Bada mushkil yeh zindagi ka safar lagta hai…


Mere pass na gaadi na bungalow na ghadi…

Na mere pass hai koyi jadu ki chadi…

Mud ke dekhun aur shayad tum bichad jao…

Tujhe pane me nahi khone me darr lagta hai…

Bada mushkil yeh zindagi ka safar lagta hai…


Main dariya na sahi ek katra hi samjhna mujhko…

Main simta na sahi bikhra na samajhna mujhko…

Mera alag wajood alag pahchaan to hai…

Na kho jaun in samunder me kahin darr lagta hai…

Bada mushkil yeh zindagi ka safar lagta hai…


Tujhe yeh kaise bataun ki tu mera kya hai…

Tere bina zindagi me abb rakha kya hai…

Deewana na samajh le yeh zamana darr lagta hai…

Bada mushkil yeh zindagi ka safar lagta hai…

Mere kareeb na aao ke darr lagta hai…

---------ahmad---------

2 comments:

  1. why hav u changed ur signature....from "aimu" to d full name...?????
    saks

    ReplyDelete
  2. hmmmm... lovd dis one aswel... deep thoughts.
    luv
    neety

    ReplyDelete