Pages

Thursday, September 2, 2010

Hindu – musalmaan
Mahol garam tha kuch baat chal rahi thi...
Hindu musalamaan ki ladai chal rahi thi...

Ajeeb ajeeb masle aur masayal chal rahe they...
Har taraf har jagah kuch khayal jal rahe they...
Ek ladki musalman ghar me akeli thi...
Bahut khoobsurat bilkul paheli thi...
Khauf tha dil main bure khayalon me pal rahi thi...
Bahar Hindu Musalmaan ki ladai chal rahi thi...

Kuch hindu ladko ne dekha usse akele...
Socha ki kyon na aaj isko bahon me lelen...
Acha hai mauka acha hai bahana...
Kaun rokega humien bas ghar me hai jana
Hinduyon ki musalmano pe chadai chal rahi thi...
Bahar hindu musalmaan ki ladai chal rahi thi...

Ladki ko pad gayi unke iradon ki bhanak...
Ghar se bhaag nikli woh bedhadhak...
Sadak pe khoon aur awaajon ka goonjna...
Dande se maarna kabhi, kabhi laton se khoochna...
Ajeeb khoon ki holi chal rahi thi...
Bahar Hindu musalman ki ladai chal rahi thi...

Woh hindu ladke uske piche pad gaye they...
Usko dabochne woh uske ghar tak gaye they...
Socha ki aaj badla leke rahenge...
Iski izzat ko apne sar leke rahenge...
Sadak par abb izzat ki daud chal rahi thi...
Bahar hindu musalmaan ki ladai chal rahi thi...

Ladki musalman hindu ladke they pichey...
Woh bhag rahi thi apni aankhen miche...
Pahuchi ek gali me wahan hinduon ke they ghar...
Woh thak chuki thi bahut gayi thi darr...
Talwar aur goli raat bhar chal rahi thi...
Hindu musalmaan ki ladai chal rahi thi...

Ladke wahan bhi pahuche uska picha kiye hue...
Woh ek ghar me ghus gayi apni aabru liye hue...
Na police ka pata tha na koyi apna tha....
Aaj tootne wala ‘’hindu musalman ek’’ ka sapna tha...
Bheed khoon ki pyasi aage chal rahi thi...
Bahar Hindu musalmaan ki ladai chal rahi thi...

Khola jo usne uss ghar ka darwaja fataak se...
Woh bhi tha ek hindu ka ghar ittefaak se...
Ja pahuchi makaan me apna dupatta lapetey...
Dekha do hindu ladke wahan ander hain baithey...
Ajeeb kashmakash ajeeb mayaar tha...
Jisse bach ke bhagi thi phir wahi tayaar tha...
Ek shor tha bahar bahut dheemi raat chal rahi thi...
Bahar hindu musalmaan ki ladai chal rahi thi...

Dekha jo usko hindu ladke ne saamne...
Bola yeh kya kiya hae hamare Ram ne...
Musalman hai ladki hindu ka ghar hai...
Phir bhi yeh aayi yahan, nahi isko koyi darr hai
Soch me dooba tha dil me kuch baat chal rahi thi...
Bahar hindu musalmaan ki ladai chal rahi thi...

Ladke ne pocha jiska duppatta sar par hai...
Tujhe pata nahi tu ek hindu ke ghar par hai...
Ladki ne bola usse meri madad karo...
Meri izzat hai khatre me kuch to raham karo...
Kaisi manzil hai do dharmo ki baat chal rahi thi...
Bahar hindu musalmaan ki ladai chal rahi thi...

Ladki ne bola aur phir tan kar khadi huyi...
Tere dewaar pe krishn ji ki murat bani huyi...
Khidki se maine dekha tha tere ghar ke ander...
Ram ji ki pratima rakhi hai kitni sunder...
Mujhe laga ki agar tu sacha hai unka bhakt...
Hanuman ki tarah meri hifazat karega iss waqt...
Uss hindu ke dil me ladki ke baat machal rahi thi...
Bahar hindu musalmaan ki ladai chal rahi thi...

Ladke ne usko apne ghar me chupa liya...
“Hindu musalman ek” hain yeh sabko bata diya...
Dharam alag hain par insaan ek hai...
Doosron ki hifazat karna hi kaam nek hai...
Aaj bhi har taraf chadai chal rahi hai...
Bahar Hindu Musalmaan ki ladai chal rahi hai....
----------ahmad----------

9 comments:

  1. wonderful work bro....nice piece of art.god bless you.your bro --- AMBER

    ReplyDelete
  2. I really appreciate, your beautiful thought from the depth of my heart.... Our blood is the same, our feelings and emotions are same........ We are all seeking the same goal only at different path. We are all on a journey, knowingly or unknowingly we are trying to reach to the Ultimate goal. Some will struggle more, some will less. Some are on straight path, some are not.

    Parivartan Singhania

    ReplyDelete
  3. bro u rock...i mean this is somthing like revolution.
    very true !!! luvd it.

    your luving frnd.
    SS.

    ReplyDelete
  4. hey swethrt..... this ws awesome, wish ever1 wud hav thoughts like u..
    neety

    ReplyDelete
  5. hmmmmm.. achcha hai.. kaash tum itna magnetism mein likh aate..

    gues who??

    ReplyDelete
  6. nice thot man...i mean post it on ayodhya disputed land....wonderful creation.

    karan singh.

    ReplyDelete
  7. nice one dude i mean no words.

    liked it/

    guess who im???

    ReplyDelete
  8. kya baat hai yaar...... maza a gaya padhkar...

    ----kashif

    ReplyDelete
  9. dost tune jo bhi kahan hai sach hi kaha hai... luv
    rmmi

    ReplyDelete