Pages

Saturday, May 2, 2009

KISMAT......


KISMAT………

Kismat meri ulat gayi ..
Yaaron ne na saath diya..
Dekho iss dewaane dil ne..
Kiss hadd tak barbaad kiya….

Tum se mila tha kismat se main..
Bahut lada tha kismat se main..
Kya kahoon anjaam hai kya..
Haar ke baitha hoon khud ko abb..
Manzoorey halaat kiya..
Dekho iss dewaane dil ne..
Kiss hadd tak barbaad kiya….

Dhoop me kal main kahin khada tha..
Dekh raha tha samajh raha tha..
Mera saya kyon mujhse bada tha….
Iss soch main dooba dekho maine..
Phir ek din barbaad kiya..

Tum jo kahoge yaar karunga..
Ek nahi sau baar karunga..
Rishtey rasme sab todunga..
Vade kasme sab chudonga..
Jo Ek baar friyaad kiya….

Bachpan ka woh din yaad hain mujhko..
Jis roz suraj din main dhala tha..
Din main hi raat ugg aayi thi..
Tab mujhse daadi ne kaha tha..
Uss din badli chayi thi…
Aur kaha tha dekho beta..
Kuch pal main ujala ho jayega..
Yeh kale badal chat jayenge..
Phir se savera ho jayega..
Kismat ka suraj aaj phir se dhala hai..
Aaj phir daadi ko yaad kiya…
Dekho iss deewane dil ne…
Kiss hadd tak baraad kiya..
Kismat meri ulat gayi ..
Yaaron ne na saath diya…

----------ahmad---------

No comments:

Post a Comment