KUCH ISS TARAH……
Kuch iss tarah abb din guzartey hain…
Roz jeetey hain roz martey hain….
Tanhai ka aalam na pooch yaar mere…
``Koun ho``apne saye se bhi poocha kartey hain…
Roshini main aankh chondh jaati hain...
Andhere main jane se bhi dartey hain...
Umr guzri hai ek baat samajh aayi mere...
Kagaz ke phool kab mahaktey hain…
Kuch iss tarah abb din guzartey hain…..
Kal bik raha tha bazaar main kaudiyon ke bhav…
Logo ke imaan kitne sastey hain...
Kuch ghum bathey they main bhi gaya tha bechne...
Kya khabar thi iss shahar main gareeb bastey hain…
Kuch iss tarah abb din guzartey hain….
Samajhtey they magar phir bhi na rakhi dooriyan..
Woh patange chirago main kyon jaltey hain..
Do zindagi ka khel hai ek ‘vasl’ ek ‘firaag’...
Woh yeh baat kab samjhtey hain…
Kuch iss tarah abb din guzartey hain….
Udaan unchi hai jinki woh udtey kyon nahi…
Yeh parinde phir jaal main kyon fastey hain…
Phir guzar gaya din kuch aarzu lekar…
Hum apne aap par roz kyon hastey hain…
Kuch iss tarah abb din guzartey hain….
Kahin se kaat lo dil bhi nikaal lo mera…
Mila ke dekh lo yeh khoon kitney miltey hain..
Doosron ke ghumo main shamil,na apni khushi se khush…
Yeh chand log ek doosrey se kyon jaltey hain...
Kuch iss tarah abb din guzartey hain….
Tha moum patthar bana liya khud ko…
Abb dekhta huun ki aansu kaise girtey hain...
Chal ke chaar kadam saath chod diya usne...
Kuch panne mude meri Kitabon main bhi miltey hain…
Kuch iss tarah abb din guzartey hain….
Roz jeetey hain roz martey hain….
------------- ahmad------------
No comments:
Post a Comment